Hindi Sher-O-Shayari

Nadiyo se sahil rooth sakte hain
aasman se tare toot sakte hain
is baat ki umeed mat karna
ki hamari yaado se aap chhoot sakte hain



Dosti Ka Haq Hum Ada Yun Karte Hain
Tere Naam Pe Jaan Bhi Fida Karte Hain
Tujhko Phool Bhi Zakhm Na Dene Paaye


Kehte hai dil ki baat har kisi ko kahi nahi jati.
Apno ko bhi batayi nahi jati.
Par DOST to ayina hote hai
Aur ayine se koi baat chuppai nahi jati…


Zindgi mein kuch na pa sake to kya gam hai
tere jaisa dost paya yeh kya kam hai
ek choti si jagah pai hai jo apke dil mein
vo kya kisi “Taj Mahal” se kam hai…

Zindagi mein baar baar ye mukaam aaye
Tum hamare – hum tumhare kaam aaye
Bas itni he dua khuda se ki agle janm me
tumhare dosto me hamaara naam aaye…


Dua Hai Ki Kamyabi Ke Har Sikhar Pe Aap Ka Naam Hoga,
Aapke Har Kadam Par Duniya Ka Salam Hoga,
Himmat Se Mushkilon Ka Samana Karna Hamari Dua Hai,
Ki Waqt Bhi Ek Din Aapka Gulam Hoga.


Arz kiya hai:
Arz kiya hai:
Bahaar aane se pehle fiza aa gayi,
ki bahaar aane se pehle fize aa gayi,
Aur phool khilne se pehle...
..bakri kha gayi